"Anant Koti Brahmand Nayak Raja Dhiraj Yogi Raj Par Brahm Shri Satchidananda Sadguru Sai Nath Maharaj Ki Jai."

sai baba aarti

Through the website www.saijagat.com, we will endeavor to provide every possible information of the MorningVision to all the devotees. Although Shreesaibaba ji has many temples throughout India, but his main temple is a famous town in Shirdi district of Maharastra, where SAI Baba ji's world famous temple is located. Ramnavami, Guru purnima and Vijaydashmi is the main festivals Shree Sai Baba ji.

Om jai jagdish hare

Om Jai Jagadish Hare, Swami Jai Jagadish Hare, Bhakt Jano Ke Sankat, Daas Jano Ke Sankat, shan Men Door Kare

Om Jai Jagadish Hare

Jo Dhyaave Phal Paave, Dukh Bin Se Man Kaa, Swami Dukh Bin Se Man Kaa, Sukh Sampati Ghar Ave, Sukh Sampati Ghar Ave, Kasht Mite Tan Kaa

Om Jai Jagadish Hare

Maat Pita Tum Mere, Sharan Kahoon Kiski, Swami Sharan Kahoon Kiski, Tum Bin Aur Na Dooja, Tum Bin Aur Na Dooja, Aas Karoon Jiski

Om Jai Jagadish Hare

Tum Pooran Paramatma, Tum Antaryami, Swami Tum Antaryami, Paar Brahm Parameshwar, Paar Brahm Parameshwar, Tum Sabke Swami

Om Jai Jagadish Hare

Tum Karuna Ke Saagar, Tum Paalan Karta, Swami Tum Paalan Karta, Main Moorakh Khalakhami, Main Sevak Tum Swami, Kripa Karo Bharta

Om Jai Jagadish Hare

Tum Ho Ek Agochar, Sab Ke Praan Pati, Swami Sab Ke Praan Pati, Kis Vidhi Miloon Dayamaya, Kis Vidhi Miloon Dayamaya, Tum Ko Main Kumati

Om Jai Jagadish Hare

Deen Bandhu Dukh Harta, Thaakur Tum Mere, Swaami Rakhshak Tum Mere, Apne Haath Uthao, Apni Sharan Lagao, Dwaar Padha Tere

Om Jai Jagadish Hare

Vishay Vikaar Mitaao, Paap Haro Deva, Swami Paap Haro Deva, Shradha Bhakti Badhao, Shradha Bhakti Badhao, Santan Ki Seva

Om Jai Jagadish Hare